dosti ka chalan raha hi nahin ab zamane ki wo hawa hi nahin sach to ye hai sanam-kade walo dil khuda ne tumhein diya hi nahin palat aane se ho gaya sabit nama-bar tu wahan gaya hi nahin haal ye hai ki hum gharibon ka haal tum ne kabhi suna hi nahin kya chale zor dasht-e-wahshat ka hum ne daman kabhi siya hi nahin ghair bhi ek din marenge zarur un ke hisse mein kya qaza hi nahin us ki surat ko dekhta hun main meri sirat wo dekhta hi nahin ishq mera hai shahr mein mashhur aur tum ne abhi suna hi nahin qissa-e-qais sun ke farmaya jhut ki koi intiha hi nahin wasta kis ka den 'hafiz' un ko un buton ka koi khuda hi nahin
Please share if you liked this!!!