har ghadi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha mera dil bas teri taswir ka diwana raha ye sitam mujh pe mere ishq ka achchha na raha tujh ko dekha to mera dil mera apna na raha aisa madhosh kiya teri tajalli ne mujhe tur bhi mere liye wajh-e-tamasha na raha yun tere naqsh-e-kaf-e-pa pe ada ki hai namaz sar mein kaba ke liye ek bhi sajda na raha zindagani tujhe le jaun mein kis ke dar par dil mein hasrat na rahi sar mein bhi sauda na raha wo na kabe mein mila hai na sanam-khane mein kya qayamat hai ki wo shokh kisi ka na raha ibtida ye thi ki main apna samajhta tha unhen intiha ye hai ki main aap bhi apna na raha wo paraya tha 'fana' is ka gila kya kije gham to ye hai ki main khud aap bhi apna na raha