hum ki majnun ko dua kahte hain ru-e-laila ko saba kahte hain kitni afsurda hai ye sham-e-bahaar jis ko hum taza hawa kahte hain apni aankhon mein na jaane kab ka khwab hai jis ko khuda kahte hain phul mein us ka lahu bahta hai chand ko us ki qaba kahte hain unhi khuban ki hatheli pe raho is liye tum ko hina kahte hain hum wo paband-e-wafa hain ki tujhe ab bhi be-mehr-o-wafa kahte hain sher kahte hain ghazal ke yani khwab ko khwab-numa kahte hain