ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae

ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae
ye to ek sail-e-bala hai so guzar bhi jae

talkhi-e-kaam-o-dahan kab se azab-e-jaan hai
ab to ye zahr rag o pai mein utar bhi jae

ab ke jis dasht-e-tamanna mein qadam rakkha hai
dil to kya chiz hai imkan hai ki sar bhi jae

hum bagulon ki tarah khak-basar phirte hain
panw shal hon to ye aashob-e-safar bhi jae

lut chuke ishq mein ek bar to phir ishq karo
kis ko malum ki taqdir sanwar bhi jae

shahr-e-jaanan se pare bhi kai duniyaen hain
hai koi aisa musafir jo udhar bhi jae

is qadar qurb ke baad aise juda ho jaana
koi kam-hausla insan ho to mar bhi jae

ek muddat se muqaddar hai gharib-ul-watani
koi pardes mein na-khush ho to ghar bhi jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close