jahan lamha-e-sham bikher diya wahin ek paigham bikher diya khud us ke qadmon mein apna sab pukhta-o-kham bikher diya chaalak parinda tha wo bhi hum ne bhi dam bikher diya jitni taklif ikattha ki utna aaram bikher diya darwaza khola jaldi se aur sara kaam bikher diya