kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte

kabhi jhute sahaare gham mein ras aaya nahin karte
ye baadal ud ke aate hain magar saya nahin karte

yahi kante to kuchh khuddar hain sehn-e-gulistan mein
ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte

wo le len gosha-e-daman mein apne ya falak chun le
meri aaankhon mein aansu bar bar aaya nahin karte

saliqa jin ko hota hai gham-e-dauran mein jine ka
wo yun shishe ko har patthar se takraya nahin karte

jo qimat jaante hain gard-e-rah-e-zindagani ki
wo thukrai hui duniya ko thukraya nahin karte

qadam mai-khana mein rakhna bhi kar-e-pukhta-karan hai
jo paimana uthate hain wo tharraya nahin karte

'nushur' ahl-e-zamana baat puchho to larazte hain
wo shaer hain jo haq kahne se katraya nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close