kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote

kabhi to sham dhale apne ghar gae hote
kisi ki aankh mein rah kar sanwar gae hote

singar-dan mein rahte ho aaine ki tarah
kisi ke hath se gir kar bikhar gae hote

ghazal ne bahte hue phul chun liye warna
ghamon mein dub kar hum log mar gae hote

ajib raat thi kal tum bhi aa ke laut gae
jab aa gae the to pal bhar thahar gae hote

bahut dinon se hai dil apna khali khali sa
khushi nahin to udasi se bhar gae hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close