kya karun kuchh bhi samajh aata nahin wo khayalon se mere jata nahin kya khabar chehra kahan wo kho gaya khwab mein bhi jo nazar aata nahin raat jugnu chand-taron ka hujum dil pareshan chain kyun pata nahin koi suraj apne daman mein liye khwab-e-farda ka nishan aata nahin barf zehnon mein jami hai is qadar hadson ka dar bhi garmata nahin is qadar dhundla gaya hai aaina koi bhi chehra nazar aata nahin kis liye un ke tasawwur ka tilism ab dil-e-'mushtaq' bahlata nahin