main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila

main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila
saqi mere mizaj ka mausam nahin mila

mujh mein basi hui thi kisi aur ki mahak
dil bujh gaya ki raat wo barham nahin mila

bas apne samne zara aankhen jhuki rahin
warna meri ana mein kahin kham nahin mila

us se tarah tarah ki shikayat rahi magar
meri taraf se ranj use kam nahin mila

ek ek kar ke log bichhadte chale gae
ye kya hua ki waqfa-e-matam nahin mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close