na kal tak the wo munh lagane ke qabil

na kal tak the wo munh lagane ke qabil
hue aaj baaten banane ke qabil

teri bandagi aur siyahkar mujh sa
ye sar aur tere aastane ke qabil

lab-e-zakhm-e-dil par ye hai shor qatil
teri tegh ka phal hai khane ke qabil

nikale sanam pet se panw tum ne
hue jab kahin aane-jaane ke qabil

dil-e-bul-hawas laeq-e-dagh-e-ulfat
ye darham na the is khazane ke qabil

un aaina-ruyon ki ulfat ne ai dil
na rakkha hamein munh dikhane ke qabil

yahan sau hain khatke chalo is chaman se
nahin ye jagah aashiyane ke qabil

patange hain gustakh ai shama-paikar
nahin teri mahfil mein aane ke qabil

koi us ke duzd-e-hina se ye kah de
mera naqd-e-dil hai churane ke qabil

kabhi khun mein mere bhi hath tar kar
ye mehndi hai tere lagane ke qabil

falak kya rulaya karega hamesha
kabhi hum bhi honge hansane ke qabil

mariz-e-mohabbat tumhaara hai laghar
nahin yar furqat uthane ke qabil

kise dekhen hum aur dikhlaen kis ko
na ab dekhne ne dikhane ke qabil

ghash ustadiyon par hain jaanen na puchhen
'qalaq' aise hain is zamane ke qabil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close