nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe

nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe
ajib log the jo dilbaron se dur rahe

duaen mangte phirte hain log galiyon mein
mata-e-hosh hamare saron se dur rahe

ye log kimiya-gar hain parakh na len hum ko
ye baat soch ke wo be-zaron se dur rahe

mata-e-dard lutate rahe zamane mein
hum ahl-e-dard the saudagaron se dur rahe

girun zamin pe main tut kar sitara sa
magar sukun ki khwahish paron se dur rahe

nikal ke khud se shanasai ki nazar dhundo
jo log ghar mein rahe dusron se dur rahe

badan hai shishe ke manind waqt ka iqbaal
use batao ki hum pattharon se dur rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close