yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gae

yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gae
us ki galiyon se jab laute apna bhi ghar bhul gae

khub gae pardes ke apne diwar-o-dar bhul gae
shish-mahal ne aisa ghera mitti ke ghar bhul gae

tujh ko bhi jab apni qasmen apne wade yaad nahin
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhul gae

mujh ko jinhonne qatl kiya hai koi unhen batlae 'nazir'
meri lash ke pahlu mein wo apna khanjar bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close