aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai us ke hone pe yaqin bar-e-digar aata hai zehn o dil karta hun jab ranj-e-jahan se khali koi be-tarah meri ruh mein dar aata hai guftugu karte hue jate hain phulon ke giroh aur chupke se darakhton pe samar aata hai bach nikalne pe mere khush nahin wo jaan-e-bahaar koi ilzam mukarrar mere sar aata hai laut jaane ki ijazat nahin dunga us ko koi ab mere taaqub mein agar aata hai meri aanhken bhi mayassar nahin aatin mujh ko jab mulaqat ko wo khwab-e-sahar aata hai meri qismat hai ye aawara-khirami 'sajid' dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai