achchha hun ya bura hun mujhe kuchh nahin pata nazron mein tere kya hun mujhe kuchh nahin pata kya tujh mein dhundhta hun mujhe kuchh nahin pata main tera ho gaya hun mujhe kuchh nahin pata aagah hun main manzil-e-maqsud se magar kis samt ja raha hun mujhe kuchh nahin pata aawaz de raha hai mujhe kaun bar bar kis ke liye ruka hun mujhe kuchh nahin pata itna mujhe pata hai tumhein hun aziz main lekin tumhaara kya hun mujhe kuchh nahin pata dimak ki tarah chat raha hai jo kaun hai kis gham mein ghul raha hun mujhe kuchh nahin pata main khub jaanta hun ye manzil nahin meri aa kar kahan ruka hun mujhe kuchh nahin pata rahta hun kis khayal mein 'nayab' in dinon kya kya main sochta hun mujhe kuchh nahin pata