ab unhen apni adaon se hijab aata hai chashm-e-bad-dur dulhan ban ke shabab aata hai hijr mein bhi mujhe imdad-e-ajal hai darkar meri turbat pe na aa tujh se hijab aata hai did aakhir hai ulat dijiye chehre se naqab aaj mushtaq ke chehre pe naqab aata hai kis taraf josh-e-karam teri nigahen utthin kaun mahshar mein saza-war-e-itab aata hai maut ki nind bhi ab chain se sona malum ki janaze pe wo ghaarat-gar-e-khwab aata hai dil ko is tarah thahar jaane ki aadat to na thi kyun ajal kya mere name ka jawab aata hai jalwa-e-rang hai nairang-e-taqaza-e-nigah koi majbur tamasha-e-sarab aata hai ho gaya khun tere hijr mein dil ka shayad ab tasawwur bhi tera naqsh-bar-ab aata hai milti julti hai meri umr-e-do-roza 'fani' ji bhar aata hai agar zikr-e-habab aata hai