agar majbur haft-aflak hota hamari tarah tu bhi khak hota zamin tarik rahti aur suraj hamare jism ki poshak hota kahin is dastan aur khwab ke beach tera malbus gul bhi chaak hota hum apna faeda bhi soch lete agar nuqsan ka idrak hota zara mausam badalta aur phir to hamare hijr mein namnak hota