uski yaad ka itr laga kar nikla tha

us ki yaad ka itr laga kar nikla tha
kya sauda main sar mein le kar nikla tha

subh ke suraj ka chehra tha rakhshanda
raat ke khun ka ghaza mal kar nikla tha

jaane kyon apne ko shisha jaana phir
khud hi hath mein sang utha kar nikla tha

us ne rah ke sare patthar tod diye
wo jo pahli thokar kha kar nikla tha

rangini aur khushbu mujh par qurban thi
us ka qasida jab main padh kar nikla tha

jaane insan ne kya socha hoga jab
suraj pahli bar falak par nikla tha

daur-e-khizan ke khatm ka yun elan hua
taza patta shakh-e-shajar par nikla tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close