dost ban kar bhi kahin ghat laga sakti hai maut ka kya hai kisi rup mein aa sakti hai in makanon mein ye dhadka sa laga rahta hai agli barish dar-o-diwar gira sakti hai tera din ho ki meri raat nahin ruk sakte apne mehwar pe zamin khud ko ghuma sakti hai aisi tartib se raushan hain teri mahfil mein ek hi phunk charaghon ko bujha sakti hai mera fan mere khad-o-khal pe taqsim hua meri bini meri taswir bana sakti hai fitratan us ki mahak chaaron taraf phailegi phul se mauj-e-saba shart laga sakti hai khush na ho itna ki yun raushaniyan phut paden is chaka-chaund mein binai bhi ja sakti hai gudgudahat mein 'nasim' us ne nahin socha tha ye hansi tut ke bachche ko rula sakti hai