aish se kyun KHush hue kyun gham se ghabraya kiye

aish se kyun khush hue kyun gham se ghabraya kiye
zindagi kya jaane kya thi aur kya samjha kiye

nala-e-be-tab lab tak aate aate rah gaya
jaane kya sharmili nazron se wo farmaya kiye

ishq ki masumiyon ka ye bhi ek andaz tha
hum nigah-e-lutf-e-jaanan se bhi sharmaya kiye

nakhuda be-khud faza khamosh sakit mauj-e-ab
aur hum sahil se thodi dur par duba kiye

wo hawaen wo ghataen wo faza wo us ki yaad
hum bhi mizrab-e-alam se saz-e-dil chheda kiye

mukhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi
ek sukun-e-dil ki khatir umr bhar tadpa kiye

kat di yun hum ne 'jazbi' rah-e-manzil kat di
gir pade har gam par har gam par sambhla kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close