aks ne aaine ka ghar chhoDa

aks ne aaine ka ghar chhoda
ek sauda tha jis ne sar chhoda

bhagte manzaron ne aankhon mein
jism ko sirf aankh bhar chhoda

har taraf raushni si phail gai
sanp ne jab kabhi khandar chhoda

dhul udti hai dhup baithi hai
os ne aansuon ka ghar chhoda

khidkiyan pitti hain sar shab bhar
aakhiri fard ne bhi ghar chhoda

kya karoge 'nizam' raaton mein
zakhm ki yaad ne agar chhoda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close