anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka thamta nahin hai panw hamare ghubar ka pahle kiya khayal na gul ka na khar ka ab dukh raha hai panw nasim-e-bahaar ka paiham diye wo ranj ki insan bana diya minnat-pazir hun sitam-e-rozgar ka us ko khizan ke aane ka kya ranj kya qalaq rote kata ho jis ko zamana bahaar ka makhfi hai is mein raaz-e-baqa-e-hayat-e-ishq kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka majburiyan sitam hain wagarna khuda ki shan main aur yun guzar dun mausam bahaar ka ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh parwurda-e-khizan hai zamana bahaar ka nikla hai dam 'rawan' ka tamanna ke sath sath allah-re zor nala-e-be-ikhteyar ka