bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka

bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
hum jis pe mar mite wo hamara na ho saka

rah to gai fareb-e-masiha ki aabru
har chand gham ke maron ka chaara na ho saka

khush hun ki baat shorish-e-tufan ki rah gai
achchha hua nasib kinara na ho saka

be-chaargi pe chaaragari ki hain tohmaten
achchha kisi se ishq ka mara na ho saka

kuchh ishq aisi bakhsh gaya be-niyaziyan
dil ko kisi ka lutf gawara na ho saka

fart-e-khushi mein aankh se aansu nikal pade
jab un ka iltifat gawara na ho saka

ulti to thi naqab kisi ne magar 'shakeb'
dawon ke bawajud nazara na ho saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close