bas ek shua-e-nur se saya simaT gaya

bas ek shua-e-nur se saya simat gaya
wo pas aa raha tha ki main dur hat gaya

phir darmiyan-e-aql-o-junun jang chhid gai
phir majma-e-khawaas girohon mein bat gaya

kya ab bhi teri khatir-e-nazuk pe bar hun
patthar nahin ki main tere raste se hat gaya

ya itna sakht-jaan ki talwar be-asar
ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kat gaya

wo lamha-e-shuur jise jaan-kani kahen
chehre se zindagi ki naqaben ulat gaya

ab kaun jae ku-e-malamat se laut kar
qadmon se aa ke apna hi saya lipat gaya

aakhir 'shakeb' khu-e-sitam us ne chhod di
zauq-e-safar ko dekh ke sahra simat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close