badal saka na judai ke gham utha kar bhi ki main to main hi raha tujh se dur ja kar bhi main sakht-jaan tha is karb se bhi bach nikla main ji raha hun tujhe hath se ganwa kar bhi khuda kare tujhe duri hi ras aa jae tu kya karega bhala ab yahan par aa kar bhi abhi to mere bikharne ka khel baqi hai main khush nahin hun abhi apna ghar luta kar bhi main us ko sath se mahsus kar ke bhi khush hun wo mutmain hi nahin meri tah ko pa kar bhi abhi tak us ne koi bhi to faisla na kiya wo chup hai mujh ko har ek tarah aazma kar bhi usi hujum mein lad-bhid ke zindagi kar lo raha na jaega duniya se dur ja kar bhi wo log aur hi the jin ka ijz phal laya hamein to kuchh na mila apne ko mita kar bhi khula ye bhed ki tanhaiyan hi qismat hain ek umr dekh liya mahfilen saja kar bhi ghazal kahe pe bhi sochon ka bojh kam na hua sakun na mil saka ahwal-e-dil suna kar bhi ruka na zulm mere rakh banne par bhi 'riyaz' hua ki khu to wahi hai mujhe jala kar bhi