ye socha hi nahin tha tishnagi mein kahan rakkhungi lab main bebasi mein tumhaari samt aane ki talab mein main rukti hi nahin hun be-khudi mein dil-e-khush-fahm tujh se kitne honge nisar us ki tamanna ki gali mein nahin wo itna bhi pagal nahin tha jo mar jata meri wabastagi mein mujhe ab 'asima' chalna padega khud apne aap hi ki rahbari mein