bagh-e-alam mein jahan nakhl-e-hina lagta hai dil-e-pur-khun ka wahan hath pata lagta hai kya tadapna dil-e-bismil ka bhala lagta hai ki jab uchhle hai tere sine se ja lagta hai dil kahan sair tamashe pe mera lagta hai ji ke lag jaane se jina bhi bura lagta hai jo hawadis se zamane ke gira phir na utha nakhl aandhi ka kahin ukhda hua lagta hai dil lagane ka maza hai ki gazak mein us ke sab kababon se namak dil pe siwa lagta hai na shab-e-hijr mein lagti hai zaban talu se aur na pahlu mera bistar se zara lagta hai hae mohtaj hua marham-e-zangar ka tu zakhm-e-dil zahr mujhe hansna tera lagta hai aab-e-khanjar jo hai zahrab wafadari ko pani shayad ki sar-e-mulk fana lagta hai qad-e-majnun koi pahle se chhadi bed ki hai jab zara jhukta hai qad panw se ja lagta hai zard zahid hai to kya khot abhi hai dil mein 'zauq' us zar ko kasauti par kasa lagta hai