kya kya na tere sadme se baad-e-KHizan gira

kya kya na tere sadme se baad-e-khizan gira
gul barg sarw fakhta ka aashiyan gira

likhne lagi qaza jo hamari fatadgi
sau bar hath se qalam-e-do-zaban gira

jab pahunche hum kinara-e-maqsud ke qarib
tab nakhuda jahan se utha baadban gira

mubaf-e-surkh choti se kya un ki khul pada
ek saiqa sa dil pe mere na-gahan gira

ta aasman pahunch ke hui aah sar-nigun
ya rab ho khair fauj-e-alam ka nishan gira

uth kar chala jo pas se un ke to ghar talak
har har qadam pe zof se main na-tawan gira

dekha jo dasht-e-najd mein haal-e-tabah-e-qais
mahmil se laila kud padi sar-ban gira

dozakh pe kyun na ho dil-e-'bimar' tana-zan
aatish se ishq ki hai patinga yahan gira


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close