han ijazat hai agar koi kahani aur hai

han ijazat hai agar koi kahani aur hai
in katoron mein abhi thoda sa pani aur hai

mazhabi mazdur sab baithe hain in ko kaam do
ek imarat shahr mein kafi purani aur hai

khamushi kab chikh ban jae kise malum hai
zulm kar lo jab talak ye be-zabani aur hai

khushk patte aankh mein chubhte hain kanton ki tarah
dasht mein phirna alag hai baghbani aur hai

phir wahi uktahaten hongi badan chaupal mein
umr ke qisse mein thodi si jawani aur hai

bas isi ehsas ki shiddat ne budha kar diya
tute-phute ghar mein ek ladki siyani aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close