bahut si aanhken lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai

bahut si aankhen lagin hain aur ek khwab tayyar ho raha hai
haqiqaton se muqable ka nisab tayyar ho raha hai

tamam duniya ke zakhm apne bayan qalam-band kar rahe hain
meri sawaneh-hayat ka ek bab tayyar ho raha hai

bahut se chand aur bahut se phul ek tajrabe mein lage hain kab se
suna hai tum ne kahin tumhaara jawab tayyar ho raha hai

chaman ke phulon mein khun dene ki ek tahrik chal rahi hai
aur is lahu se khizan ki khatir khizab tayyar ho raha hai

purani basti ki khidkiyon se main dekhta hun to sochta hun
naya jo wo shahr hai bahut hi kharab tayyar ho raha hai

khule hue hain fana ke daftar mein sab anasir ke goshware
ki aasmanon mein ab zamin ka hisab tayyar ho raha hai

main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera
to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai

badan ko jaana hai pahli bar aaj ruh ki mahfil-e-tarab mein
to aisa lagta hai jaise koi nawab tayyar ho raha hai

is imtihan ke sawal aate nahin nisabon se maktabon ke
ajib aashiq hai ye jo padh kar kitab tayyar ho raha hai

junun ne barpa kiya hai sahra mein shahr ki taziyat ka jalsa
to 'farhat-ehsas' bhi ba-chashm-e-pur-ab tayyar ho raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close