baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle hisab hota rahega yarab hamein manga de sharab pahle faza-e-shab hans ke jagmagai wo naznin subh ban ke aai hua hai raushan mere shabistan mein chand se aaftab pahle zaban pe aaya na harf-e-matlab ki kah gain kuchh sharir nazren sawal karne na pae hain hum ki mil gaya hai jawab pahle jinan mein pahle-pahal piyega to ladkhadata phirega zahid surur-e-kausar ki hai agar dhan jahan mein pi le sharab pahle hai khusraw-e-ishq ka ye farman ki dil lagana nahin hai aasan jise ho ku-e-butan ka arman wo ku-ba-ku ho kharab pahle gham-o-alam ranj-o-yas-o-hasrat uthaunga sab ke rukh se parde tumhein qasam hai dil hazin ki uthao to tum naqab pahle ilahi wo bu-e-pairahan se bhi pahle ho ham-kanar aa kar chaman mein hota hai jalwa-afroz phul se mahtab pahle ye kis ke rang-e-rukh-e-bahaarin ne bakhsh di hai tarawat-e-nau shagufta hota na tha gulistan mein us ada se gulab pahle nigah-e-saqi ki muskurai kaha jab 'akhtar' ne apni dhan mein piyenge pite rahenge mai-kash magar ye khana-kharab pahle