be-kar jab dua hai dawa kya karegi aaj aise mein zindagi bhi wafa kya karegi aaj ye daur sakht-o-talkh kalami ka daur hai lahjon ki narm tarz-e-ada kya karegi aaj kal tak bahut ghurur mein phirti thi zindagi ab maut samne hai bata kya karegi aaj zabt-e-gham-e-firaq ki dil mein kahan sakat zalim ke ruthne ki ada kya karegi aaj