be-naqab un ki jafaon ko kiya hai main ne waqt ke hath mein aaina diya hai main ne khun khud shauq o tamanna ka kiya hai main ne apni taswir ko ek rang diya hai main ne ye to sach hai ki nahin apne gareban ki khabar tera daman to kai bar siya hai main ne rasan o dar ki taqdir jaga di jis ne teri duniya mein wo ailan kiya hai main ne harf aane na diya ishq ki khuddari par kaam nakaam tamanna se liya hai main ne jab kabhi un ki jafaon ki shikayat ki hai tajziya apni wafa ka bhi kiya hai main ne muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar' ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne