begana-e-wafa tera shewa hi aur hai ahl-e-wafa ka taur-tariqa hi aur hai dair o haram ki rah mein rakhte nahin qadam hum rah-rawan-e-shauq ka rasta hi aur hai dil bewafa ke hath na bechega ba-wafa tum se nahin banega ye sauda hi aur hai allah dil na tum ko tadapta hua dikhae dekha na jaega ye tamasha hi aur hai jalwa-farosh aap hain main dil-farosh hun aison se kya banega ye sauda hi aur hai tukde hain dil jigar ke 'mubarak' ki sher hain ghazlon ka aap ki to safina hi aur hai