har aashna se us bin begana ho raha hun majlis mein shama-ru ki parwana ho raha hun mujh ko malamat-e-khalq khatir mein nahin hargiz zulfan ki fikr mein main diwana ho raha hun saqi sharab-o-saghar ab chahta nahin hun us ke khayal sun main mastana ho raha hun us ke khayal sun main tanha-nashin hun daim wahshi sa main saban sun begana ho raha hun dekh us ki lat ka phanda bhula hun aab-o-dana 'faez' asir us ka be-dana ho raha hun