bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha sahar ke waqt taqaza-e-sham kitna tha rukh-e-zawal pe rang-e-dawam kitna tha ki ghat ke bhi mera mah-e-tamam kitna tha tha tere naz ko kitna meri ana ka khayal mera ghurur bhi tera ghulam kitna tha jo pau phati to har ek dastan tamam hui ajab ki un ke liye ehtimam kitna tha unhin ko yaad kiya jab to kuchh na yaad aaya wo log jin ka zamane mein nam kitna tha abhi shajar se judai ke din na aae the paka hua tha wo phal phir bhi kham kitna tha wahan to koi na tha ek apne gham ke siwa mere makan pe magar izhdiham kitna tha