rakha sar par jo aaya yar ka KHat

rakha sar par jo aaya yar ka khat
gaya sab dard-e-sar kiya tha dawa khat

diya khat aur hun qasid ke pichhe
hua tasir mein kya kahruba khat

wahin qasid ke munh par phenk mara
diya qasid ne jab ja kar mera khat

hai lazim haal khairiyyat ka likhna
kabhi to bhej o na-ashna khat

raha mamnun kaghaz-saz ka main
suna dega use sab majra khat

pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja khat

rahi hasrat ye sari umr 'bahram'
na mujh ko yar ne hargiz likha khat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close