chehra to chamak damak raha hai

chehra to chamak damak raha hai
andar se ye shakhs bujh chuka hai

thi tab-e-rawan misal-e-dariya
dariya ye magar utar gaya hai

aankhon mein the khwab sau tarah ke
ye rang-mahal ujad chuka hai

naqsh us ke hain be-numud sare
naghma aisa ki be-sada hai

baitha hai udas ghar mein tanha
jaise koi us ko dhundhta hai

tum us ko talash kya karoge
khud apne se jo bichhad chuka hai

ye rang-e-sukhan hai khas us ka
ek aisi ghazal jo marsiya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close