chhedi bhi jo rasm-o-rah ki baat wo sun na sake nigah ki baat har-lahza badal rahe hain haalat mujh se na karo nibah ki baat kahte hain teri mizha ke tare khud meri shab-e-siyah ki baat ab hai wo nigah na wo tabassum kuchh aur thi gah gah ki baat kya yaad na aaega ye anjam kis dil se karenge chah ki baat