chhup chhup ke ab na dekh wafa ke maqam se guzra hamara dard dawa ke maqam se laut aae hum to arz-e-dua ke maqam se har shai thi past un ki raza ke maqam se ai mutriban-e-kunj-e-chaman hoshiyar-bash sarsar guzar rahi hai saba ke maqam se allah-re khud-farebi-e-ahl-e-haram ki ab bande bhi dekhte hain khuda ke maqam se jab dil ne khair-o-shar ki haqiqat ko pa liya har jurm tha buland saza ke maqam se ai wae 'saif' lazzat-e-nairangi-e-hayat mar kar uthenge bim-o-raja ke maqam se