dam bhar ki KHushi bais-e-azar bhi hogi

dam bhar ki khushi bais-e-azar bhi hogi
is rah mein saya hai to diwar bhi hogi

sadiyon se jahan jis ke taaqub mein rawan hai
wo saat-e-sad-rang giraftar bhi hogi

rangon ki rida odh ke is reg-e-rawan par
utri hai jo shab wo shab-e-didar bhi hogi

kahta hai mere kan mein khushbu ka payami
munh-band kali mael-e-guftar bhi hogi

sae se lipat jaenge qadmon se ba-har-gam
ruswai kuchh apni sar-e-bazar bhi hogi

ai shab na kategi tere sine ki syahi
ek shokh kiran muft gunahgar bhi hogi

sunte hain ki har subh ke hathon mein 'rashid' ab
ek zahr mein dubi hui talwar bhi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close