dar-e-ufuq pe raqam raushni ka bab karen ye ji mein hai ki sitare ko aaftab karen nigah mein ghumti phirti hain suraten kya kya kise khayal mein laen kise kharab karen ye aarzu hai ki phuten badan ke kheme se aur apni zat ke sahra mein raqs-e-ab karen mere huruf-e-tahajji ki kya majal ki wo tujhe shumar mein laen tera hisab karen nahin hai shahr mein koi bhi jagne wala kise kahen ki chalo sair-e-mahtab karen falak to gosh-bar-awaz hai magar 'tabish' na ho zaban hi munh mein to kya khitab karen