dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai jhute khwabon ka aameza ho jata hai apne fiqron se hoshyar ki fiqara akasr dushman ke hathon ka neza ho jata hai pahle shisha tut ke khanjar ban jata tha lekin ab to reza reza ho jata hai husn ki sangat phul ki rangat se mas ho kar shabnam ka aansu aaweza ho jata hai