raushni mere charaghon ki dhari rahna thi phir bhi suraj se meri ham-safri rahna thi mausam-e-did mein ek sabz-pari ka saya ab gila kya ki tabiat to hari rahna thi main ki hun aadam-e-azaim ki riwayat ka naqib meri shokhi sabab-e-dar-ba-dari rahna thi khwab irfan-e-haqiqat ke tamannai the zindagi aur meri rahbari rahna thi aaj bhi zakhm hi khilte hain sar-e-shakh-e-nihaal nakhl-e-khwahish pe wahi be-samari rahna thi saz-o-saman-e-tayyush to bahut the 'yawar' apne hisse mein yahi harf-gari rahna thi