dil ki kaya gham ne wo palTi ki tujh sa ban gaya

dil ki kaya gham ne wo palti ki tujh sa ban gaya
dard mein dil dub kar qatre se dariya ban gaya

un ke aaghosh-e-mashiyyat mein hai nakaami meri
kaam kuchh is tarah bigda hai ki goya ban gaya

dil ki rut aisi to yaad-e-yar ne badli na thi
ye chaman ujda hi is dhab se ki sahra ban gaya

naqsh-e-mauhum-e-hayat afsana-dar-afsana tha
jab ye naqsh ubhra to ek harf-e-tamanna ban gaya

lo mubarak lazzat-e-gham bhi hai ab to nagawar
dil mohabbat mein jo banna chahiye tha ban gaya

jalwa-e-kasrat khud apna shauq-e-be-andaza tha
mahfil-e-laila meri nazron mein laila ban gaya

meri mahrumi bhi ruswa hai ki 'fani' haal-e-dil
un ke kanon tak na pahuncha aur fasana ban gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close