dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai

dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai
par dil-e-zar ka andaz-e-fughan aur hi hai

qad-e-nau-khez nahin aafat-e-jaan aur hi hai
jis pe dil apna gaya hai wo jawan aur hi hai

hum jahan rahte hain yaro wo jahan aur hi hai
wo jagah aur hi hai aur wo makan aur hi hai

shafaqi rang pe mat bhuliyo apne ai abr
chashm-e-khushk aur mizha-e-ashk-fishan aur hi hai

badan aaghushta-ba-khun hone pe mauquf nahin
zakhmi-e-nawak-e-mizhgan ka nishan aur hi hai

go ki auron ki huin surme se aankhen raushan
surma-e-binish-e-sahib-nazaran aur hi hai

garche rakhte hain nazakat ye sabhi mu-kamran
wo nazakat hai judi aur wo miyan aur hi hai

'mushafi' garche ye sab kahte hain hum se behtar
apni par rekhta-goi ki zaban aur hi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close