umr bhar kawish-e-izhaar ne sone na diya harf-e-na-gufta ke aazar ne sone na diya dasht ki wusat-e-be-qaid mein kya nind aati ghar ki qaid-e-dar-o-diwar ne sone na diya thak ke so rahne ko raste mein thikane the bahut hawas-e-saya-e-diwar ne sone na diya kabhi iqrar ki lazzat ne jagae rakkha kabhi andesha-e-inkar ne sone na diya ho gai subh badalte rahe pahlu shab bhar ek karwat pe dil-e-zar ne sone na diya