dil mein shola tha so aankhon mein nami banta gaya dard ka benam jugnu raushni banta gaya ek aansu ajnabiyat ka nadi banta gaya ek lamha tha takalluf ka sadi banta gaya kya labaalab roz o shab the aur kya wahshi tha main zindagi se dur ho kar aadmi banta gaya kab junun mein khinch gai pairon se arz-e-e'tidal aur ek yunhi sa jazba aashiqi banta gaya rafta rafta tirgi ne dasht-e-jaan sar kar liya raushni ka har fasana an-kahi banta gaya zindagi ne kaise raazon ki pitari khol di aagahi ka har tayaqqun gumrahi banta gaya shahr ka chehra samajh kar dekhte the sab use aur wo khud se bhi 'shahpar' ajnabi banta gaya