dil phaDak jaega wo shoKH jo KHandan hoga

dil phadak jaega wo shokh jo khandan hoga
apne khirman ko na is barq se nuqsan hoga

subh-e-mahshar ka agar chaak gareban hoga
mere matam mein sar-e-hur bhi uryan hoga

munkir-e-sajda-e-adam ko pashemani hai
wo na samjha tha ki ye rutba-e-insan hoga

khak suljhegi teri zulf meri jaanib se
kaun juz baad-e-saba silsila-e-jumban hoga

husn ke rashk se ho jaenge gul zard o safed
aur hi aalam-e-gul-ha-e-gulistan hoga

chashm-e-kafir se tere honge musalman kafir
kham-e-abru se sanam gabr musalman hoga

jab 'shuur' us se kaha zakhm-e-jigar kari hai
kaj-adai se wo yun kahne laga han hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close