lab siye dekha karun socha karun mere bas mein kuchh nahin main kya karun rah mein hai dard ka koh-e-giran kohkan bhi main nahin main kya karun shahr ke shor-o-shaghab se bhag kar koi kunj-e-afiyat dhunda karun gunjalak maggham sadaon ki tarah gumbad-e-tanhai mein gunja karun aur in mubham sadaon ka agar koi matlab ho to wo likkha karun aur jab apni samajh mein kuchh na aae chikh utthun kya karun main kya karun shahar ki viraniyon par nauhagar ruh ban kar raat-bhar bhatka karun