jis ki na koi raat ho aisi sahar mile

jis ki na koi raat ho aisi sahar mile
sare tayyunat se ek din mafar mile

afwah kis ne aisi udai ki shahr mein
har shakhs bach raha hai na us se nazar mile

dushwariyan kuchh aur ziyaada hi badh gain
ghar se chale to rah mein itne shajar mile

tai karna rah gai hain abhi kitni manzilen
jo aage ja chuke hain kuchh un ki khabar mile

mumkin hai aade aaen zamana-shanasiyan
tum bhi hamari rah mein hail agar mile

qaziya ho mausamon ka na din ka na raat ka
ab ke agar mile bhi to aisa safar mile

logon ko kya padi thi uthate aziyyaten
sahra ki khak chhante aashufta-sar mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close